apni hi baat se jo log mukar jaate hain
vo bahut jald mere dil se utar jaate hain
meri har baat ko jo an-suni kar dete hain
vo bahut jald mere dil se utar jaate hain
kuchh pata hi nahin chalta hai kisi ko yaaron
ajnabi log ki kab dil mein utar jaate hain
isliye saamne unke main nahin aata hoon
dekhte hain vo mujhe aur bikhar jaate hain
main jinhen paas bithaata raha apne dil ke
ab mujhe dekh ke vo log mukar jaate hain
अपनी ही बात से जो लोग मुकर जाते हैं
वो बहुत जल्द मिरे दिल से उतर जाते हैं
मेरी हर बात को जो अन-सुनी कर देते हैं
वो बहुत जल्द मिरे दिल से उतर जाते हैं
कुछ पता ही नहीं चलता है किसी को यारों
अजनबी लोग कि कब दिल में उतर जाते हैं
इसलिए सामने उनके मैं नहीं आता हूँ
देखते हैं वो मुझे और बिखर जाते हैं
मैं जिन्हें पास बिठाता रहा अपने दिल के
अब मुझे देख के वो लोग मुकर जाते हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari