chhodkar sheher-e-ghareebaam ko chala jaaunga
ek din qarz zamaane ko chuka jaaunga
meri aankhon mein basaa hai koii toofan-e-nooh
rounga to dar-o-deewar hila jaaunga
tu barabar mein hi rehta mere chinta mat kar
main jalunga to tujhe bhi to jala jaaunga
ek dooje se sage bhai khafa hain to kya
ek din dekhna main sabko mila jaaunga
sab mere saath mein karte hain bura karne do
main zamaane ka magar karke bhala jaaunga
छोड़कर शहर-ए-ग़रीबाँ को चला जाऊँगा
एक दिन क़र्ज़ ज़माने को चुका जाऊँगा
मेरी आँखों में बसा है कोई तूफ़ान-ए-नूह
रोऊँगा तो दर-ओ-दीवार हिला जाऊँगा
तू बराबर में ही रहता मिरे चिंता मत कर
मैं जलूँगा तो तुझे भी तो जला जाऊँगा
एक दूजे से सगे भाई ख़फ़ा हैं तो क्या
एक दिन देखना मैं सबको मिला जाऊँगा
सब मिरे साथ में करते हैं बुरा करने दो
मैं ज़माने का मगर करके भला जाऊँगा
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari