lekar ke mohabbat mein mera naam sar-e-aam | लेकर के मोहब्बत में मिरा नाम सर-ए-आम

  - Prashant Kumar

lekar ke mohabbat mein mera naam sar-e-aam
ab tum bhi machaane lage kohraam sar-e-aam

maine to sunaaya tha bhala haal nazar se
par vo to lagaane lage ilzaam sar-e-aam

hai umr kitaabon kii suno prem pujaari
bechoge padhoge nahin to aam sar-e-aam

darte hain kisi se na vo dabte hain kisi se
dete hain mohabbat ka bhi paighaam sar-e-aam

main thak sa gaya dard zamaane ke uthakar
ho jaaye yahin zindagi kii shaam sar-e-aam

main to kabhi bhi ghar se nikalta bhi nahin hoon
aur tumne mujhe kar diya badnaam sar-e-aam

लेकर के मोहब्बत में मिरा नाम सर-ए-आम
अब तुम भी मचाने लगे कोहराम सर-ए-आम

मैंने तो सुनाया था भला हाल नज़र से
पर वो तो लगाने लगे इल्ज़ाम सर-ए-आम

है उम्र किताबों की सुनो प्रेम पुजारी
बेचोगे पढ़ोगे नहीं तो आम सर-ए-आम

डरते हैं किसी से न वो दबते हैं किसी से
देते हैं मोहब्बत का भी पैग़ाम सर-ए-आम

मैं थक सा गया दर्द ज़माने के उठाकर
हो जाए यहीं ज़िंदगी की शाम सर-ए-आम

मैं तो कभी भी घर से निकलता भी नहीं हूँ
और तुमने मुझे कर दिया बदनाम सर-ए-आम

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari