khuda is zamaane ko kya ho gaya
mere naam se hi khafa ho gaya
jidhar dekho cigarette ka hi dhuaan
koi phir kisi se juda ho gaya
akela chala tha safar pe main to
khudi saath mein kaafila ho gaya
mujhe degrees ki zaroorat nahin
mera har jagah daakhila ho gaya
jo insaan banne ke laik nahin
vo ahl ae jahaan ka khuda ho gaya
meri har muhabbat chali jhooth se
jahaan sach kaha bewafa ho gaya
ख़ुदा इस ज़माने को क्या हो गया
मिरे नाम से ही ख़फ़ा हो गया
जिधर देखो सिगरेट का ही धुआँ
कोई फिर किसी से जुदा हो गया
अकेला चला था सफ़र पे मैं तो
ख़ुदी साथ में काफ़िला हो गया
मुझे डिग्रियों की ज़रूरत नहीं
मिरा हर जगह दाख़िला हो गया
जो इंसान बनने के लाइक़ नहीं
वो अहल ए जहाँ का ख़ुदा हो गया
मिरी हर मुहब्बत चली झूट से
जहाँ सच कहा बेवफ़ा हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Insaan Shayari Shayari