qarz zindagi bhar ka utaar aaya | क़र्ज़ ज़िंदगी भर का उतार आया

  - Prashant Kumar

qarz zindagi bhar ka utaar aaya
husn par tumhaare jab nikhaar aaya

sab ghalat nazar se dekhte the tumko
main udhar gaya sabko nikhaar aaya

kya karoon qayamat ka pata nahin tha
main jidhar gaya parda ughaar aaya

main wafa ke qaabil to nahin raha ab
ek hum-nasheen ko phir bhi pyaar aaya

yaar tu ki kamre mein pada hua hai
aur main tujhe sab mein pukaar aaya

क़र्ज़ ज़िंदगी भर का उतार आया
हुस्न पर तुम्हारे जब निखार आया

सब ग़लत नज़र से देखते थे तुमको
मैं उधर गया सबको निखार आया

क्या करूँ क़यामत का पता नहीं था
मैं जिधर गया पर्दा उघार आया

मैं वफ़ा के क़ाबिल तो नहीं रहा अब
एक हम-नशीं को फिर भी प्यार आया

यार तू कि कमरे में पड़ा हुआ है
और मैं तुझे सब में पुकार आया

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari