aisi soorat to gulaabon mein pali hoti hai
sone chaandi kii parat sab mein lagi hoti hai
dukh kii haalat mein sabhi bach ke nikal jaate hain
sukh mein ye duniya mere saath khadi hoti hai
yaar aise nahin chhootegi koii bhi aadat
mehnat usmein kai saalon kii lagi hoti hai
ungaliyaan roz uthaata hai zamaana tujh par
tu mere saath mein bekar khadi hoti hai
uski baahon se kabhi chhoot nahin paaya hoon
yun samajh lo koii zanjeer padi hoti hai
kuchh na karta hoon main paani puri hi bechta hoon
saari duniya hi mere peechhe khadi hoti hai
ऐसी सूरत तो गुलाबों में पली होती है
सोने चाँदी की परत सब में लगी होती है
दुख की हालत में सभी बच के निकल जाते हैं
सुख में ये दुनिया मिरे साथ खड़ी होती है
यार ऐसे नहीं छूटेगी कोई भी आदत
मेहनत उसमें कई सालों की लगी होती है
उँगलियाँ रोज़ उठाता है ज़माना तुझ पर
तू मिरे साथ में बेकार खड़ी होती है
उसकी बाहों से कभी छूट नहीं पाया हूँ
यूँ समझ लो कोई ज़ंजीर पड़ी होती है
कुछ न करता हूँ मैं पानी पुरी ही बेचता हूँ
सारी दुनिया ही मिरे पीछे खड़ी होती है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari