husn waalon mein sabhi ko shang hona chahiye
aur iske saath hi nav-rang hona chahiye
anjuman mein aayenge to daad bhi denge magar
har suhan-var shart hai khud-rang hona chahiye
main zamaane mein agar mansoob tha to tumse tha
qabr mein bhi tumko mere sang hona chahiye
tees din mein ek din hi dil pe dastak dete ho
ishq karne ka koi to dhang hona chahiye
mujhse hi mansoob hai is mulk ki mitti to phir
is tirange mein bhi mera ang hona chahiye
हुस्न वालों में सभी को शंग होना चाहिए
और इसके साथ ही नव-रंग होना चाहिए
अंजुमन में आएँगे तो दाद भी देंगे मगर
हर सुख़न-वर शर्त है ख़ुद-रंग होना चाहिए
मैं ज़माने में अगर मंसूब था तो तुमसे था
क़ब्र में भी तुमको मेरे संग होना चाहिए
तीस दिन में एक दिन ही दिल पे दस्तक देते हो
इश्क़ करने का कोई तो ढंग होना चाहिए
मुझसे ही मंसूब है इस मुल्क की मिट्टी तो फिर
इस तिरंगे में भी मेरा अंग होना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Aahat Shayari Shayari