hairaan karne waali ye baat ho gai hai
saare jahaan mein mere ghar raat ho gai hai
mehboob dekh kaise aaye hain ban sanwarkar
jaise ki meri mayyat baaraat ho gai hai
marne ke baad bhi to baksha nahin kisi ne
mayyat pe goliyon kii barsaat ho gai hai
hamne yahi suna hai vo aaj aa rahe hain
aur aaj hi qayamat kii raat ho gai hai
kyun kyun nahin uthega phir dhoom se janaaza
ye qaaynaat mere jab saath ho gai hai
हैरान करने वाली ये बात हो गई है
सारे जहाँ में मेरे घर रात हो गई है
महबूब देख कैसे आए हैं बन सँवरकर
जैसे कि मेरी मय्यत बारात हो गई है
मरने के बाद भी तो बख़्शा नहीं किसी ने
मय्यत पे गोलियों की बरसात हो गई है
हमने यही सुना है वो आज आ रहे हैं
और आज ही क़यामत की रात हो गई है
क्यूँ क्यूँ नहीं उठेगा फिर धूम से जनाज़ा
ये क़ाएनात मेरे जब साथ हो गई है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari