andheri raat mein vo khwaab mere dekhti hogi
abhi baadal hi garje hain abhi barsaat bhi hogi
nigaahen dekhkar hamko ki jis din fer loge tum
tumhaare dushmanon se phir hamaari dosti hogi
barasti to bahut hogi mohabbat phir nigaahon se
agar raaton mein shiddat se mere khat kholti hogi
kabhi mandir mein jaakar to kabhi masjid mein jaakar ke
kahaan hai mera deewaana khuda se poochhti hogi
nigaahen mil rahi to hain magar vo baat thodi hai
nigaahon hi nigaahon mein mujhe vo kosati hogi
bulaate to ho mehfil mein magar ye jaan lo hamdam
tumhaari bazm mein hi raat meri aakhiri hogi
prashaant apni mohabbat ka kisi ne zikr chheda hai
haqeeqat vo kisi kone mein baithi ro rahi hogi
अँधेरी रात में वो ख़्वाब मेरे देखती होगी
अभी बादल ही गरजे हैं अभी बरसात भी होगी
निगाहें देखकर हमको कि जिस दिन फेर लोगे तुम
तुम्हारे दुश्मनों से फिर हमारी दोस्ती होगी
बरसती तो बहुत होगी मोहब्बत फिर निगाहों से
अगर रातों में शिद्दत से मिरे ख़त खोलती होगी
कभी मंदिर में जाकर तो कभी मस्जिद में जाकर के
कहाँ है मेरा दीवाना ख़ुदा से पूछती होगी
निगाहें मिल रही तो हैं मगर वो बात थोड़ी है
निगाहों ही निगाहों में मुझे वो कोसती होगी
बुलाते तो हो महफ़िल में मगर ये जान लो हमदम
तुम्हारी बज़्म में ही रात मेरी आख़िरी होगी
'प्रशांत' अपनी मोहब्बत का किसी ने ज़िक्र छेड़ा है
हक़ीक़त वो किसी कोने में बैठी रो रही होगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Mehboob Shayari Shayari