nafrat mili kahin bhi rafaqat nahin mili
khaaliq tire jahaan mein mohabbat nahin mili
gaali saza qaza are sab kuchh mila magar
hamko kabhi hamaari amaanat nahin mili
munsif wakeel sab mere ghar ke main be-qusoor
mujhko rihaai chhod zamaanat nahin mili
qaanoon bhi ghulaam ameeron ka hai khuda
hamko kahin gareeb adaalat nahin mili
vo qatl itne karke rihaa ho gaye prashaant
ham be-qusoor the to zamaanat nahin mili
नफ़रत मिली कहीं भी रफ़ाक़त नहीं मिली
ख़ालिक़ तिरे जहाँ में मोहब्बत नहीं मिली
गाली सज़ा क़ज़ा अरे सब कुछ मिला मगर
हमको कभी हमारी अमानत नहीं मिली
मुंसिफ़ वकील सब मिरे घर के मैं बे-क़ुसूर
मुझको रिहाई छोड़ ज़मानत नहीं मिली
क़ानून भी ग़ुलाम अमीरों का है ख़ुदा
हमको कहीं ग़रीब अदालत नहीं मिली
वो क़त्ल इतने करके रिहा हो गए प्रशांत
हम बे-क़ुसूर थे तो ज़मानत नहीं मिली
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Nafrat Shayari Shayari