tum itni der lagaaoge dil lagaane mein
ham itni der mein ghoom aayenge zamaane mein
khangaal aaye vo duniya charaagh leke magar
meri tarah na mila koii bhi zamaane mein
koii zameer churakar ameerzaadon ka
ab aa raha hai hamaare gareebkhane mein
habeeb ho ya raqeeb-e-hayaat ya khaaliq
kasar kisi ne nahin chhodi dil dukhaane mein
khuda nigaah churakar har ek zaahid se
ki aa gaya hai tumhaare sharaabkhaane mein
tira wakeel bada hood qism ka hai saal
kai lagaaye zamaanat meri karaane mein
तुम इतनी देर लगाओगे दिल लगाने में
हम इतनी देर में घूम आएँगे ज़माने में
खँगाल आए वो दुनिया चराग़ लेके मगर
मिरी तरह न मिला कोई भी ज़माने में
कोई ज़मीर चुराकर अमीरज़ादों का
अब आ रहा है हमारे ग़रीबख़ाने में
हबीब हो या रक़ीब-ए-हयात या ख़ालिक़
कसर किसी ने नहीं छोड़ी दिल दुखाने में
ख़ुदा निगाह चुराकर हर एक ज़ाहिद से
कि आ गया है तुम्हारे शराबख़ाने में
तिरा वकील बड़ा हूड़ क़िस्म का है साल
कई लगाए ज़मानत मिरी कराने में
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari