sabhi kaan khol ke sun lo baat ko phir na kehna kaha nahin | सभी कान खोल के सुन लो बात को फिर न कहना कहा नहीं

  - Prashant Kumar

sabhi kaan khol ke sun lo baat ko phir na kehna kaha nahin
isi waqt dil se nikaal do meri zindagi ka pata nahin

jise taadte jise chhedte the naqaab mein yahan baithkar
so hazaar sadiyaan guzar gaeein kahin hum-safar vo mila nahin

tire gesuon ko sanwaarne mein guzar gai meri zindagi
tire husn kii kabhi naukri ka mu'awza to mila nahin

tire ishq kii hi bahaar se hain chaman dilon ke sabhi jawaan
tiri chaahaton ka magar gulaab mere to dil mein khila nahin

mera zakhm-e-dil bada narm narm kahin zara mein bigad na jaaye
tire haath ka hi diya hua yahi sochkar to sila nahin

jo pila raha hai bachi kuchi hi pila raha vo bhi fenk kar
tire jaisa to mujhe saaqiya kahin bhi qasam se mila nahin

सभी कान खोल के सुन लो बात को फिर न कहना कहा नहीं
इसी वक़्त दिल से निकाल दो मिरी ज़िंदगी का पता नहीं

जिसे ताड़ते जिसे छेड़ते थे नक़ाब में यहाँ बैठकर
सो हज़ार सदियाँ गुज़र गईं कहीं हम-सफ़र वो मिला नहीं

तिरे गेसुओं को सँवारने में गुज़र गई मिरी ज़िंदगी
तिरे हुस्न की कभी नौकरी का मु'आवज़ा तो मिला नहीं

तिरे इश्क़ की ही बहार से हैं चमन दिलों के सभी जवाँ
तिरी चाहतों का मगर गुलाब मिरे तो दिल में खिला नहीं

मिरा ज़ख़्म-ए-दिल बड़ा नर्म नर्म कहीं ज़रा में बिगड़ न जाए
तिरे हाथ का ही दिया हुआ यही सोचकर तो सिला नहीं

जो पिला रहा है बची कुची ही पिला रहा वो भी फेंक कर
तिरे जैसा तो मुझे साक़िया कहीं भी क़सम से मिला नहीं

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari