tum nazar badlo nazaare bhi badal jaayenge
aur aankhon ke ishaare bhi badal jaayenge
tu mere saath mein do chaar qadam chal ke dekh
chaand suraj ki sitaare bhi badal jaayenge
are jis roz bhidega ye samundar mujhse
phir samundar ke kinaare bhi badal jaayenge
byah ke baad to sab log badalte hi hain
ik din aayega kunwaare bhi badal jaayenge
jis din insaan badal jaayenge phir dekhna tum
rotiyaan aur chuhare bhi badal jaayenge
तुम नज़र बदलो नज़ारे भी बदल जाएँगे
और आँखों के इशारे भी बदल जाएँगे
तू मिरे साथ में दो चार क़दम चल के देख
चाँद सूरज कि सितारे भी बदल जाएँगे
अरे जिस रोज़ भिड़ेगा ये समुंदर मुझसे
फिर समुंदर के किनारे भी बदल जाएँगे
ब्याह के बाद तो सब लोग बदलते ही हैं
इक दिन आएगा कुँवारे भी बदल जाएँगे
जिस दिन इंसान बदल जाएँगे फिर देखना तुम
रोटियाँ और छुहारे भी बदल जाएँगे
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari