ham log are itne bhi bekar nahin hain
bas ishq mohabbat ke khareedaar nahin hain
jis jisne meri jaan ko baksha hai har ik baar
vo log mere jism ke haqdaar nahin hain
baadal bhi garazte hain ki chhaai hain ghataaein
baarish ke magar door tak aasaar nahin hain
ghazlein hon ya nazmein hon ya phir geet hon mere
misre mein kahin aapke ash'aar nahin hain
ab haal ishaaron mein bayaan karne lage hain
ye log pareshaan hain makkaar nahin hain
हम लोग अरे इतने भी बेकार नहीं हैं
बस इश्क़ मोहब्बत के ख़रीदार नहीं हैं
जिस जिसने मिरी जान को बख़्शा है हर इक बार
वो लोग मिरे जिस्म के हक़दार नहीं हैं
बादल भी गरज़ते हैं कि छाई हैं घटाएँ
बारिश के मगर दूर तक आसार नहीं हैं
ग़ज़लें हों या नज़्में हों या फिर गीत हों मेरे
मिसरे में कहीं आपके अश'आर नहीं हैं
अब हाल इशारों में बयाँ करने लगे हैं
ये लोग परेशान हैं मक्कार नहीं हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari