dekha magar nigaah jhuka kar chale gaye
apna nazar nazar mein bata kar chale gaye
main to samajh raha tha koii ajnabi magar
vo dil pe mera naam dikha kar chale gaye
rukhsaar de rahe the gawaahi khata kii kal
meri khataayein sar par utha kar chale gaye
kal to mere baghair nibha li har ek rasm
sindoor mere naam laga kar chale gaye
naadaan the abhi bhi mohabbat mein ham magar
vo ek hi nazar mein sikha kar chale gaye
khanjar agar chalaate to aate nigaah mein
zehraab laaye raat pila kar chale gaye
देखा मगर निगाह झुका कर चले गए
अपना नज़र नज़र में बता कर चले गए
मैं तो समझ रहा था कोई अजनबी मगर
वो दिल पे मेरा नाम दिखा कर चले गए
रुख़सार दे रहे थे गवाही ख़ता की कल
मेरी ख़ताएँ सर पर उठा कर चले गए
कल तो मिरे बग़ैर निभा ली हर एक रस्म
सिंदूर मेरे नाम लगा कर चले गए
नादान थे अभी भी मोहब्बत में हम मगर
वो एक ही नज़र में सिखा कर चले गए
ख़ंजर अगर चलाते तो आते निगाह में
ज़हराब लाए रात पिला कर चले गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Raat Shayari Shayari