ya chashm-e-nam se aaj samundar chura ke la | या चश्म-ए-नम से आज समुंदर चुरा के ला

  - Prashant Kumar

ya chashm-e-nam se aaj samundar chura ke la
ya phir kisi faqeer kii bottle utha ke la

chanda ke haath paanv pe mehndi laga ke la
suraj ko aaj raat kii dulhan bana ke la

paagal hai maut dekh mere intizaar mein
jaldi se zindagi ko tu ghar se bula ke la

mere liye hai ishq tire dil mein be-panaah
to phir mere khayal mein khud ko bula ke la

kaise karoon yaqeen mohabbat ka hai khuda
chal pattharon mein ishq ka toofaan utha ke la

nazarein bahut buri hain zamaane kii lag na jaayen
dulhan ko mere haath ka ghoonghat uda ke la

sadiyaan guzar gaeein are naache hue mujhe
ja to kisi ameer kii paayal chura ke la

jo bhi kahunga ishq mein sab kuchh karega phir
soti hui chudail kii angiya chura ke la

aise nahin bikenge gham-e-jaan-gaza sanam
inki bas ek baar tu qeemat badha ke la

या चश्म-ए-नम से आज समुंदर चुरा के ला
या फिर किसी फ़क़ीर की बोतल उठा के ला

चंदा के हाथ पाँव पे मेंहदी लगा के ला
सूरज को आज रात की दुल्हन बना के ला

पागल है मौत देख मिरे इंतिज़ार में
जल्दी से ज़िंदगी को तू घर से बुला के ला

मेरे लिए है इश्क़ तिरे दिल में बे-पनाह
तो फिर मिरे ख़याल में ख़ुद को बुला के ला

कैसे करूँ यक़ीन मोहब्बत का है ख़ुदा
चल पत्थरों में इश्क़ का तूफ़ान उठा के ला

नज़रें बहुत बुरी हैं ज़माने की लग न जाएँ
दुल्हन को मेरे हाथ का घूँघट उड़ा के ला

सदियाँ गुज़र गईं अरे नाचे हुए मुझे
जा तो किसी अमीर की पायल चुरा के ला

जो भी कहूँगा इश्क़ में सब कुछ करेगा फिर
सोती हुई चुड़ैल की अँगिया चुरा के ला

ऐसे नहीं बिकेंगे ग़म-ए-जाँ-गज़ा सनम
इनकी बस एक बार तू क़ीमत बढ़ा के ला

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari