rahne aaya chaand gali mein maine kar li baat gali mein
phool gulaab ka fenka tha usne hi mujhpe raat gali mein
pehle usne aankh milaai muskaaya phir khat bhejavai
mujhko akela mein bulwaakar naam kiye jazbaat gali mein
vo bhi ghar se nikla hi tha main bhi ghar se nikla hi tha
milne ka vaada tha lekin hone lagi barsaat gali mein
ik dooje ka saath janam tak saath nibhaayenge ham dono
usne qasmen khaai theen kal leke haath mein haath gali mein
chupke chupke milte the ek aag mein dono jalte the
jaan hatheli par rakh di thi dono ne ik saath gali mein
aamne-saamne rahte the dono chhat pe soya karte the
usko dekh ke din hota tha usko dekh ke raat gali mein
jab uske rozay chalte the phir main bhi rozay rakhta tha
rozay hi rozay mein ik din aayi thi baaraat gali mein
रहने आया चाँद गली में मैंने कर ली बात गली में
फूल गुलाब का फेंका था उसने ही मुझपे रात गली में
पहले उसने आँख मिलाई मुस्काया फिर ख़त भिजवाए
मुझको अकेले में बुलवाकर नाम किए जज़्बात गली में
वो भी घर से निकला ही था मैं भी घर से निकला ही था
मिलने का वादा था लेकिन होने लगी बरसात गली में
इक दूजे का सात जनम तक साथ निभाएँगे हम दोनों
उसने क़समें खाई थीं कल लेके हाथ में हाथ गली में
चुपके चुपके मिलते थे एक आग में दोनों जलते थे
जान हथेली पर रख दी थी दोनों ने इक साथ गली में
आमने-सामने रहते थे दोनों छत पे सोया करते थे
उसको देख के दिन होता था उसको देख के रात गली में
जब उसके रोज़े चलते थे फिर मैं भी रोज़े रखता था
रोज़े ही रोज़े में इक दिन आई थी बारात गली में
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari