kal raat koi khoon sar-e-aam ho gaya | कल रात कोई ख़ून सर-ए-आम हो गया

  - Prashant Kumar

kal raat koi khoon sar-e-aam ho gaya
haakim ke saamne hi suno kaam ho gaya

jisne sikhaaya ishq muhabbat ka paintara
vo bewafa ke naam se badnaam ho gaya

ab to hakeem ki bhi zaroorat nahin rahi
mujhko tiri nigaah se aaraam ho gaya

is raaste jo shakhs tha pehle gaya hua
sar pe usi ke aaj ka ilzaam ho gaya

jis din se tune naam mere saath mein likha
us din se hi main dekh le be-naam ho gaya

कल रात कोई ख़ून सर-ए-आम हो गया
हाकिम के सामने ही सुनो काम हो गया

जिसने सिखाया इश्क़ मुहब्बत का पैंतरा
वो बेवफ़ा के नाम से बदनाम हो गया

अब तो हकीम की भी जरूरत नहीं रही
मुझको तिरी निगाह से आराम हो गया

इस रास्ते जो शख़्स था पहले गया हुआ
सर पे उसी के आज का इल्ज़ाम हो गया

जिस दिन से तूने नाम मिरे साथ में लिखा
उस दिन से ही मैं देख ले बे-नाम हो गया

  - Prashant Kumar

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari