mujhe anjuman mein bulaaya gaya
bina baat ke phir bhagaaya gaya
khata to kisoo aur kii thi magar
use chhod mujhko rulaaya gaya
ki rote hue bhi main hansta raha
mujhe is ada se daraaya gaya
the to aur bhi dost uske magar
na jaane mujhe kyun uthaya gaya
wahan log to aur bhi maujood the
vo khanjar mujhi par chalaaya gaya
मुझे अंजुमन में बुलाया गया
बिना बात के फिर भगाया गया
ख़ता तो किसू और की थी मगर
उसे छोड़ मुझको रुलाया गया
कि रोते हुए भी मैं हँसता रहा
मुझे इस अदा से डराया गया
थे तो और भी दोस्त उसके मगर
न जाने मुझे क्यूँ उठाया गया
वहाँ लोग तो और भी मौजूद थे
वो खंजर मुझी पर चलाया गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Jalwa Shayari Shayari