nazar mein qaid karoon to sharaab kahte ho
dilon mein qaid karoon to gulaab kahte ho
may ae faroshan ho khud bhi ye to nahin bole
mere gilaas ka paani sharaab kahte ho
yahi to mulk mein saare fasaad ki jad hai
jise tum aaj ki भगवा,हिजाब kahte ho
buri ghadi mein tumheen ko bahaar di maine
tumheen mujhe ki sadak ka gulaab kahte ho
kahi sira hai kahi paanv khud ka fan dekho
meri ghazal ko sabhi mein kharab kahte ho
rakha hua hai mere sar pe zindagi ka karz
ye jaante hue bhi tum nawaab kahte ho
har ek qarz chukaaya tha girvi rakh ke saans
magar tum ab bhi bakaaya hisaab kahte ho
नज़र में क़ैद करूँ तो शराब कहते हो
दिलों में क़ैद करूँ तो गुलाब कहते हो
मय ए फ़रोशाँ हो ख़ुद भी ये तो नहीं बोले
मिरे गिलास का पानी शराब कहते हो
यही तो मुल्क में सारे फ़साद की जड़ है
जिसे तुम आज कि भगवा,हिजाब कहते हो
बुरी घड़ी में तुम्हीं को बहार दी मैंने
तुम्हीं मुझे कि सड़क का गुलाब कहते हो
कहीं सिरा है कहीं पाँव ख़ुद का फ़न देखो
मिरी ग़ज़ल को सभी में ख़राब कहते हो
रखा हुआ है मिरे सर पे ज़िंदगी का कर्ज़
ये जानते हुए भी तुम नवाब कहते हो
हर एक क़र्ज़ चुकाया था गिरवी रख के साँस
मगर तुम अब भी बकाया हिसाब कहते हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Aankhein Shayari Shayari