chaandni bahut khush-naseeb hai
kyunki chaand ka ghar qareeb hai
zakhm kar raha aur ilaaj bhi
ye hakeem bhi yaar ajeeb hai
haarte gaye jaanboojh kar
kaun kah raha sab naseeb hai
saans bhi meri maangne laga
shakhs is qadar vo gareeb hai
loot gaya tira qaafila prashaant
tu meri tarah khush-naseeb hai
चाँदनी बहुत ख़ुश-नसीब है
क्यूँकि चाँद का घर क़रीब है
ज़ख़्म कर रहा और इलाज भी
ये हकीम भी यार अजीब है
हारते गए जानबूझ कर
कौन कह रहा सब नसीब है
साँस भी मिरी माँगने लगा
शख़्स इस क़दर वो ग़रीब है
लुट गया तिरा क़ाफ़िला 'प्रशांत'
तू मिरी तरह ख़ुश-नसीब है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari