mohabbat ka fasana jab sunaakar baith jaate hain | मोहब्बत का फ़साना जब सुनाकर बैठ जाते हैं - Prashant Kumar

mohabbat ka fasana jab sunaakar baith jaate hain
hamaare jhopde mein log aakar baith jaate hain

agar ranj-o-alam dil mein dabaakar baith jaate hain
zamaane taktaki ham pe laga kar baith jaate hain

zara mein husn apna haar jaayenge isi dar se
ham unke daav par khud ko laga kar baith jaate hain

kisi ko dard mein tanhaa agar peeta hua dekhen
usi ke saath phir ham bhi laga kar baith jaate hain

mohabbat ishq karne ka agar man jab bhi karta hai
to phir tanhaai se hi dil laga kar baith jaate hain

sivaae dil-shikan ke kya karein milta nahin koii
inheen ke saath dil se dil mila kar baith jaate hain

khata jiski hai usse to koii kuchh bhi nahin kehta
hamein hi ulti seedhi sab sunaakar baith jaate hain

wafa kii amn-e-aalam kii jahaan bhi baat chalti hai
zamaane ko phir aapas mein lada kar baith jaate hain

hamaari kal talak jo log kursi saaf karte the
hamein kursi se ab to vo uthakar baith jaate hain

jinhen marham diya tha hamne khud apne hi zakhamon ka
hamein vo log ab thennga dikha kar baith jaate hain

मोहब्बत का फ़साना जब सुनाकर बैठ जाते हैं
हमारे झोपड़े में लोग आकर बैठ जाते हैं

अगर रंज-ओ-अलम दिल में दबाकर बैठ जाते हैं
ज़माने टकटकी हम पे लगा कर बैठ जाते हैं

ज़रा में हुस्न अपना हार जाएँगे इसी डर से
हम उनके दाव पर ख़ुद को लगा कर बैठ जाते हैं

किसी को दर्द में तन्हा अगर पीता हुआ देखें
उसी के साथ फिर हम भी लगा कर बैठ जाते हैं

मोहब्बत इश्क़ करने का अगर मन जब भी करता है
तो फिर तन्हाई से ही दिल लगा कर बैठ जाते हैं

सिवाए दिल-शिकन के क्या करें मिलता नहीं कोई
इन्हीं के साथ दिल से दिल मिला कर बैठ जाते हैं

ख़ता जिसकी है उससे तो कोई कुछ भी नहीं कहता
हमें ही उल्टी सीधी सब सुनाकर बैठ जाते हैं

वफ़ा की अम्न-ए-आलम की जहाँ भी बात चलती है
ज़माने को फिर आपस में लड़ा कर बैठ जाते हैं

हमारी कल तलक जो लोग कुर्सी साफ़ करते थे
हमें कुर्सी से अब तो वो उठाकर बैठ जाते हैं

जिन्हें मरहम दिया था हमने ख़ुद अपने ही ज़ख़्मों का
हमें वो लोग अब ठेंगा दिखा कर बैठ जाते हैं

- Prashant Kumar
0 Likes

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari