kya baat ho gai thi kal aakar chale gaye
dil chhod rooh tak mein samaa kar chale gaye
uthne kahaan diya tha kisi kii nigaah mein
vo to zara sii baat gira kar chale gaye
jinko pakad ke haath barabar bitha liya
vo log kal humeen ko uthakar chale gaye
waqif nahin tha koii bhi haalaat se mere
ahvaal kya tha tum hi suna kar chale gaye
ham the isi bharam mein ki aaoge ab zaroor
daaman hi yaar tum to bacha kar chale gaye
क्या बात हो गई थी कल आकर चले गए
दिल छोड़ रूह तक में समा कर चले गए
उठने कहाँ दिया था किसी की निगाह में
वो तो ज़रा सी बात गिरा कर चले गए
जिनको पकड़ के हाथ बराबर बिठा लिया
वो लोग कल हमीं को उठाकर चले गए
वाक़िफ़ नहीं था कोई भी हालात से मिरे
अहवाल क्या था तुम ही सुना कर चले गए
हम थे इसी भरम में कि आओगे अब ज़रूर
दामन ही यार तुम तो बचा कर चले गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Dosti Shayari Shayari