chalo hamaara nahin khud ka to bhala kar lo
bahut nahin to mohabbat zara zara kar lo
mile baghair kai saal ho gaye hamko
chalo phir aaj hi milne ka faisla kar lo
ab intizaar mera koii mat karo seedhe
tum apne aap ko mujhmein hi mubtala kar lo
laga sako to lagana kisi se dil samjhe
marz hai ye bhi kahin khud ko sheetla kar lo
phir aaj tum bhi mohabbat mein jaan luta hi do
ya to phir aisa karo khud ko dil-jala kar lo
samaa hi jaao mohabbat kii aag mein hamdam
ki khud ko faayda thodi hai adh-jalaa kar lo
kitaab-e-ishq parhe ab to muddatein ho gaeein
suno to dil mein mera phir se daakhila kar lo
चलो हमारा नहीं ख़ुद का तो भला कर लो
बहुत नहीं तो मोहब्बत ज़रा ज़रा कर लो
मिले बग़ैर कई साल हो गए हमको
चलो फिर आज ही मिलने का फ़ैसला कर लो
अब इंतिज़ार मिरा कोई मत करो सीधे
तुम अपने आप को मुझमें ही मुब्तला कर लो
लगा सको तो लगाना किसी से दिल समझे
मरज़ है ये भी कहीं ख़ुद को शीतला कर लो
फिर आज तुम भी मोहब्बत में जाँ लुटा ही दो
या तो फिर ऐसा करो ख़ुद को दिल-जला कर लो
समा ही जाओ मोहब्बत की आग में हमदम
कि ख़ुद को फायदा थोड़ी है अध-जला कर लो
किताब-ए-इश्क़ पढ़े अब तो मुद्दतें हो गईं
सुनो तो दिल में मिरा फिर से दाख़िला कर लो
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari