milne kii aarzoo thi magar dil nahin mile
sab hosh waale mil gaye ghaafil nahin mile
ik baar aur dekh le khaaliq se pooch kar
jaahil mile to theek hai qaabil nahin mile
khanjar to mil gaya kahin lunja ke haath mein
haakim ko meri jaan ke qaateel nahin mile
dekho to ja rahe hain sabhi dhool jhonk kar
koii bhi shakhs aankh ke qaabil nahin mile
hain to sukhan-vari ke bahut jaankaar par
ahmad faraaz sa koii qaabil nahin mile
tairaak hoke pooch raha sail-e-ashk mein
kyun doobne ke baad bhi saahil nahin mile
kahte to the khushi mein ham aate zaroor hain
phir kyun mere janaaze mein shaamil nahin mile
मिलने की आरज़ू थी मगर दिल नहीं मिले
सब होश वाले मिल गए ग़ाफ़िल नहीं मिले
इक बार और देख ले ख़ालिक़ से पूछ कर
जाहिल मिले तो ठीक है क़ाबिल नहीं मिले
ख़ंजर तो मिल गया कहीं लुंजा के हाथ में
हाकिम को मेरी जान के क़ातिल नहीं मिले
देखो तो जा रहे हैं सभी धूल झोंक कर
कोई भी शख़्स आँख के क़ाबिल नहीं मिले
हैं तो सुख़न-वरी के बहुत जानकार पर
"अहमद फ़राज़" सा कोई क़ाबिल नहीं मिले
तैराक होके पूछ रहा सैल-ए-अश्क में
क्यूँ डूबने के बाद भी साहिल नहीं मिले
कहते तो थे ख़ुशी में हम आते ज़रूर हैं
फिर क्यूँ मिरे जनाज़े में शामिल नहीं मिले
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari