muhabbat be-zubaan hoti na begaana mila hota | मुहब्बत बेज़ुबाँ होती न बेगाना मिला होता

  - Prashant Kumar

muhabbat be-zubaan hoti na begaana mila hota
agar hamko bhi sajde mein ye maykhaana mila hota

kisi ke vaaste ham to khudi sir ko jhuka dete
agar hamko kahi bhi koi butkhaana mila hota

koi ilzaam kyun deta tumaare in waziroon ko
agar haq ka sabhi ko aab aur daana mila hota

juda hoti nahin hamse kabhi bhi raat ki needen
tumhaare haath ka hamko jo sirhaana mila hota

khudi gardan kata dete agar shamsheer saazon mein
koi bhi haath hamko jaana pahchaana mila hota

alag hi baat hoti phir to duniya mein muhabbat ki
agar hamko tumaare jaisa deewaana mila hota

मुहब्बत बेज़ुबाँ होती न बेगाना मिला होता
अगर हमको भी सजदे में ये मयख़ाना मिला होता

किसी के वास्ते हम तो ख़ुदी सिर को झुका देते
अगर हमको कहीं भी कोई बुतख़ाना मिला होता

कोई इल्ज़ाम क्यों देता तुमारे इन वज़ीरों को
अगर हक़ का सभी को आब और दाना मिला होता

जुदा होती नहीं हमसे कभी भी रात की नीदें
तुम्हारे हाथ का हमको जो सिरहाना मिला होता

ख़ुदी गर्दन कटा देते अगर शमशीर साज़ों में
कोई भी हाथ हमको जाना पहचाना मिला होता

अलग ही बात होती फिर तो दुनिया में मुहब्बत की
अगर हमको तुमारे जैसा दीवाना मिला होता

  - Prashant Kumar

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari