in dair-o-haram ke bhi nisaabon se mile hain | इन दैर-ओ-हरम के भी निसाबों से मिले हैं

  - Prashant Kumar

in dair-o-haram ke bhi nisaabon se mile hain
kuchh jhooth mujhe haq ki kitaabon se mile hain

kis munh se kahoon hont tire hain may-e-gulgoo'n
jab roz juda jaam sharaabon se mile hain

adhyaay muhabbat ka adhoora hi raha hai
kuchh pej tire dil ki kitaabon se mile hain

is khoon mein bhi thoda bahut haath hai tera
kuchh daagh mujhe ghar ki juraabon se mile hain

khanjar se mile hote gham itna nahin hota
ye zakham to be-kaar gulaabon se mile hain

इन दैर-ओ-हरम के भी निसाबों से मिले हैं
कुछ झूट मुझे हक़ की किताबों से मिले हैं

किस मुँह से कहूँ होंट तिरे हैं मय-ए-गुलगूँ
जब रोज़ जुदा जाम शराबों से मिले हैं

अध्याय मुहब्बत का अधूरा ही रहा है
कुछ पेज तिरे दिल की किताबों से मिले हैं

इस ख़ून में भी थोड़ा बहुत हाथ है तेरा
कुछ दाग़ मुझे घर की जुराबों से मिले हैं

ख़ंजर से मिले होते ग़म इतना नहीं होता
ये जख़्म तो बे-कार गुलाबों से मिले हैं

  - Prashant Kumar

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari