ham jahaan bhi gaye logon ko magan kar aaye | हम जहाँ भी गए लोगों को मगन कर आए - Prashant Kumar

ham jahaan bhi gaye logon ko magan kar aaye
apne dushman kii mohabbat ko naman kar aaye

mandiron mein gaye to hamne namaazen keen ada
masjidoon mein gaye to yaar bhajan kar aaye

kya karein jaan nikalti hi nahin hai aise
zahar khaane ka kai baar jatan kar aaye

koii daulat pe gira koii gira taqat par
ham gaye aur mohabbat ka chayan kar aaye

rozay ka aakhiri din hai kahin tu dik jaaye
isi chakkar mein kai baar farzi kar aaye

हम जहाँ भी गए लोगों को मगन कर आए
अपने दुश्मन की मोहब्बत को नमन कर आए

मंदिरों में गए तो हमने नमाज़ें कीं अदा
मस्जिदों में गए तो यार भजन कर आए

क्या करें जान निकलती ही नहीं है ऐसे
ज़हर खाने का कई बार जतन कर आए

कोई दौलत पे गिरा कोई गिरा ताक़त पर
हम गए और मोहब्बत का चयन कर आए

रोज़े का आख़िरी दिन है कहीं तू दिख जाए
इसी चक्कर में कई बार हवन कर आए

- Prashant Kumar
2 Likes

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari