log har samt se kal aag lagaane aaye | लोग हर सम्त से कल आग लगाने आए - Prashant Kumar

log har samt se kal aag lagaane aaye
ye parinde hi meri jaan bachaane aaye

doston ne to shuroo se hi dukhaaya tha dil
mere dushman hi magar dil ko lubhaane aaye

log zinda hain sabhi mere nivaale par hi
phir bhi auqaat meri mujhko dikhaane aaye

dosti ab ki bahut soch samajh kar kariyo
dost hi raat mujhe zahar khilaane aaye

maine paala hai jise khoon-paseene se prashaant
mere oopar ki wahi haath uthaane aaye

muskuraane ko kaha pehle sabhi ne mujhse
phir yahi log mujhe aankh dikhaane aaye

kyun chale aaye the kal bazm-e-sukhan se prashaant
kyunki sab sher hamaare hi sunaane aaye

लोग हर सम्त से कल आग लगाने आए
ये परिंदे ही मिरी जान बचाने आए

दोस्तों ने तो शुरू से ही दुखाया था दिल
मिरे दुश्मन ही मगर दिल को लुभाने आए

लोग ज़िंदा हैं सभी मेरे निवाले पर ही
फिर भी औक़ात मिरी मुझको दिखाने आए

दोस्ती अब कि बहुत सोच समझ कर करियो
दोस्त ही रात मुझे ज़हर खिलाने आए

मैंने पाला है जिसे ख़ून-पसीने से 'प्रशांत'
मेरे ऊपर कि वही हाथ उठाने आए

मुस्कुराने को कहा पहले सभी ने मुझसे
फिर यही लोग मुझे आँख दिखाने आए

क्यूँ चले आए थे कल बज़्म-ए-सुख़न से 'प्रशांत'
क्यूँकि सब शेर हमारे ही सुनाने आए

- Prashant Kumar
3 Likes

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari