tire husn ka jo nikhaar hai tire husn ka jo jalaal hai
sab isi qalaam kii den hai sab isi ghazal ka qamaal hai
tire deed mein hi chhupa hua hai mera ilaaj mu'aalija
zara sii naqaab utha de bas meri zindagi ka sawaal hai
main rafaakaton mein shumaar tha tire dushmanon mein gina gaya
mujhe dushmani ka nahin hai gham tiri dosti ka malaal hai
mere dil kii khushk zameen mein kaun wafa ke phool khila gaya
are yaar koii bataaye to ye kamaal kiska qamaal hai
chunri sanwaar rahi hai dekh bhanwar mein haath ko chhodkar
meri jaan se bhi ziyaada usko fati qaba ka khayal hai
तिरे हुस्न का जो निखार है तिरे हुस्न का जो जलाल है
सब इसी क़लाम की देन है सब इसी ग़ज़ल का क़माल है
तिरे दीद में ही छुपा हुआ है मिरा 'इलाज मु'आलिजा
ज़रा सी नक़ाब उठा दे बस मिरी ज़िंदगी का सवाल है
मैं रफ़ाकतों में शुमार था तिरे दुश्मनों में गिना गया
मुझे दुश्मनी का नहीं है ग़म तिरी दोस्ती का मलाल है
मिरे दिल की ख़ुश्क ज़मीं में कौन वफ़ा के फूल खिला गया
अरे यार कोई बताए तो ये कमाल किसका क़माल है
चुनरी सँवार रही है देख भँवर में हाथ को छोड़कर
मिरी जान से भी ज़ियादा उसको फटी क़बा का ख़याल है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Revenge Shayari Shayari