ye jahaan hirs ka bazaar nazar aata hai
har koii tan ka khareedaar nazar aata hai
in nigaahon ko jo dildaar nazar aata hai
mere ashkon ka khareedaar nazar aata hai
chal mujhe tu hi bata kaise karoon tujh pe yaqeen
tiri baaton mein palatvaar nazar aata hai
kaun kehta hai mohabbat hai maza jurm nahin
mujhe har shakhs gunahgaar nazar aata hai
ishq jab se hua school nahin jaata hoon
ab mujhe roz hi itwaar. nazar aata hai
nahin chalta hai pata kaise badalta hai rang
tu mohabbat mein kalaakaar nazar aata hai
ki bartane se hi khulti hai haqeeqat sabki
varna har shakhs wafadar nazar aata hai
wahi ilzaam lagati hain nakalchi hai tu
jin nigaahon ko adakaar nazar aata hai
vo mujhe shaam-o-sehar ghurti hi rahti hain
jin nigaahon mein mujhe pyaar nazar aata hai
ये जहाँ हिर्स का बाज़ार नज़र आता है
हर कोई तन का ख़रीदार नज़र आता है
इन निगाहों को जो दिलदार नज़र आता है
मिरे अश्कों का ख़रीदार नज़र आता है
चल मुझे तू ही बता कैसे करूँ तुझ पे यक़ीं
तिरी बातों में पलटवार नज़र आता है
कौन कहता है मोहब्बत है मज़ा जुर्म नहीं
मुझे हर शख़्स गुनहगार नज़र आता है
इश्क़ जब से हुआ स्कूल नहीं जाता हूँ
अब मुझे रोज़ ही इतवार नज़र आता है
नहीं चलता है पता कैसे बदलता है रंग
तू मोहब्बत में कलाकार नज़र आता है
कि बरतने से ही खुलती है हक़ीक़त सबकी
वरना हर शख़्स वफ़ादार नज़र आता है
वही इल्ज़ाम लगाती हैं नकलची है तू
जिन निगाहों को अदाकार नज़र आता है
वो मुझे शाम-ओ-सहर घूरती ही रहती हैं
जिन निगाहों में मुझे प्यार नज़र आता है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari