jaan lene ko meri sab mere ghar jaate hai
baad mein log yahi dil mein utar jaate hain
jaan-e-man soch lo ye kya hua phir mat kehna
kyunki ab ishq mein ham had se guzar jaate hain
hamse bhidne ko ye toofaan agar aaye idhar
ek hi chot mein dharti pe bikhar jaate hain
chaai ke saath mein namkeen milegi biscuit
bas isi aas mein hi ham tire ghar jaate hain
zakhm dete hain to naasoor tire shehar ke log
vo to khanjar kii tarah dil mein utar jaate hain
kuchh na kuchh baat to hai tujh mein tire sar kii qasam
dekh kar tujhko bhikaari bhi nikhar jaate hain
जान लेने को मिरी सब मिरे घर जाते है
बाद में लोग यही दिल में उतर जाते हैं
जान-ए-मन सोच लो ये क्या हुआ फिर मत कहना
क्यूँकि अब इश्क़ में हम हद से गुज़र जाते हैं
हमसे भिड़ने को ये तूफ़ान अगर आए इधर
एक ही चोट में धरती पे बिखर जाते हैं
चाय के साथ में नमकीन मिलेगी बिस्किट
बस इसी आस में ही हम तिरे घर जाते हैं
ज़ख़्म देते हैं तो नासूर तिरे शहर के लोग
वो तो ख़ंजर की तरह दिल में उतर जाते हैं
कुछ न कुछ बात तो है तुझ में तिरे सर की क़सम
देख कर तुझको भिखारी भी निखर जाते हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari