mohabbat mein ranj-o-alam maangte hain | मोहब्बत में रंज-ओ-अलम माँगते हैं - Prashant Kumar

mohabbat mein ranj-o-alam maangte hain
mere saath agla janam maangte hain

kabhi mandiron mein kabhi masjidoon mein
khuda se vo mujh sa sanam maangte hain

mohabbat karoon har janam mein unhin se
vo mujhse bas itna karam maangte hain

agar haath uthaaye to hardam dua mein
vo khushiyaan mujhe khud ko gham maangte hain

vo mehfil mein khaamosh dekhen kabhi to
ishaaron ishaaron mein gham maangte hain


labon par mere muskuraahat ka dariya

par apne liye chashm-e-nam maangte hain
unhin ka banuun har janam mein khuda se

bas itna hi ahl-e-karam maangte hain
qayamat kabhi hamne dekhi nahin so

tumhaari kamar ke hi kham maangte hain

मोहब्बत में रंज-ओ-अलम माँगते हैं
मिरे साथ अगला जनम माँगते हैं

कभी मंदिरों में कभी मस्जिदों में
ख़ुदा से वो मुझ सा सनम माँगते हैं

मोहब्बत करूँ हर जनम में उन्हीं से
वो मुझसे बस इतना करम माँगते हैं

अगर हाथ उठाएँ तो हरदम दुआ में
वो ख़ुशियाँ मुझे ख़ुद को ग़म माँगते हैं

वो महफ़िल में ख़ामोश देखें कभी तो
इशारों इशारों में ग़म माँगते हैं


लबों पर मिरे मुस्कुराहट का दरिया

पर अपने लिए चश्म-ए-नम माँगते हैं
उन्हीं का बनूँ हर जनम में ख़ुदा से

बस इतना ही अहल-ए-करम माँगते हैं
क़यामत कभी हमने देखी नहीं सो

तुम्हारी कमर के ही ख़म माँगते हैं

- Prashant Kumar
0 Likes

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari