khush tha usi mein khaar-e-mughilaan diya gaya
bekar jhopde mein mere gul khila gaya
ahl-e-waraa kii list mein pehle shumaar tha
kitna shareef aadmi khanjar chala gaya
mujhse zameen par ahl-e-sakhaawat nahin hue
ahl-e-watan ke vaaste jaan tak luta gaya
socha chalo sabhi ko mohabbat sikhaayein ab
ulta jahaan hamein hi bagaavat sikha gaya
us par na jaane kaun sii kal dhun sawaar thi
aaya har ek dil se mohabbat mita gaya
mere kator-daan mein roti bachi thi ek
raazi khushi se vo bhi sabhi ko khila gaya
kahkar gulaab laaya tha beedi mazaaq mein
oopar se aur haath par ik gul laga gaya
ख़ुश था उसी में ख़ार-ए-मुग़ीलाँ दिया गया
बेकार झोपड़े में मिरे गुल खिला गया
अहल-ए-वरा की लिस्ट में पहले शुमार था
कितना शरीफ़ आदमी ख़ंजर चला गया
मुझसे ज़मीं पर अहल-ए-सख़ावत नहीं हुए
अहल-ए-वतन के वास्ते जाँ तक लुटा गया
सोचा चलो सभी को मोहब्बत सिखाएँ अब
उल्टा जहाँ हमें ही बग़ावत सिखा गया
उस पर न जाने कौन सी कल धुन सवार थी
आया हर एक दिल से मोहब्बत मिटा गया
मेरे कटोर-दान में रोटी बची थी एक
राज़ी ख़ुशी से वो भी सभी को खिला गया
कहकर गुलाब लाया था बीड़ी मज़ाक़ में
ऊपर से और हाथ पर इक गुल लगा गया
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari