mere ustaad ne ilm-o-hunar aisa sikhaaya hai | मिरे उस्ताद ने 'इल्म-ओ-हुनर ऐसा सिखाया है

  - Prashant Kumar

mere ustaad ne ilm-o-hunar aisa sikhaaya hai
karam ahl ae khird ka ik ghazal mein hi sunaaya hai

tire ehsaan ki koi zaroorat hi nahin hamdam
mujhe maa-baap ne pehle se is kaabil banaya hai

siva garda ke patthar ke mere aangan mein tha hi kya
ghareebon ki duaon ne hi mera ghar chalaaya hai

batao kyun na bechoo saans khaatir in ghareebon ki
meri har saans ka kharcha inhonne hi uthaya hai

koi bhookha nahin aaya kabhi dar se ghareebon ke
inhonne apne aage ka nivaala bhi khilaaya hai

मिरे उस्ताद ने 'इल्म-ओ-हुनर ऐसा सिखाया है
करम अहल ए ख़िरद का इक ग़ज़ल में ही सुनाया है

तिरे एहसान की कोई ज़रूरत ही नहीं हमदम
मुझे माँ-बाप ने पहले से इस काबिल बनाया है

सिवा गर्दा के पत्थर के मिरे आँगन में था ही क्या
ग़रीबों की दुआओं ने ही मेरा घर चलाया है

बताओ क्यों न बेचू साँस ख़ातिर इन ग़रीबों की
मिरी हर साँस का ख़र्चा इन्होंने ही उठाया है

कोई भूखा नहीं आया कभी दर से ग़रीबों के
इन्होंने अपने आगे का निवाला भी खिलाया है

  - Prashant Kumar

Father Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Father Shayari Shayari