hindostaan ke dam se zinda hai ye zamaana
bas khud ko chhod isne sabko diya thikaana
maasoom haath dekhe to kaanp sa gaya main
phoolon si umr mein hai topon se dostana
kaise na ho tabaahi us mulk mein jahaan par
kaaghaz se dushmani ho khanjar se dostana
ye chhote-chhote bacche khaaliq bacha le inko
hai umr mein ladakpan shora se dostana
kis kaam ka hai bolo aisa vazeer-e-aazam
ho jiski saltanat mein footpath par thikaana
हिन्दोस्ताँ के दम से ज़िंदा है ये ज़माना
बस ख़ुद को छोड़ इसने सबको दिया ठिकाना
मासूम हाथ देखे तो काँप सा गया मैं
फूलों सी उम्र में है तोपों से दोस्ताना
कैसे न हो तबाही उस मुल्क में जहाँ पर
काग़ज़ से दुश्मनी हो ख़ंजर से दोस्ताना
ये छोटे-छोटे बच्चे ख़ालिक़ बचा ले इनको
है उम्र में लड़कपन शोरा से दोस्ताना
किस काम का है बोलो ऐसा वज़ीर-ए-आज़म
हो जिसकी सल्तनत में फ़ुटपाथ पर ठिकाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Raqeeb Shayari Shayari