aayega daur aisa bas kuchh hi saal bhar mein
patthar milenge zalim sheesha-garon ke ghar mein
har ja qadam ko hazrat rakhna sambhal sambhal kar
nashtar milenge ab ki ghurse hue dagar mein
ilzaam dekho kaise ghairoon pe dhar raha hai
khud muskuraa ke chhodaa jisne hamein bhanwar mein
ham roz tumko itna bechain dekhte hain
jaise ki beta maa ka rehta nahin khabar mein
dekhenge aaina jab to yaad aayenge ham
rukhsaar is ada se choome hain kal dagar mein
hoti nahin hai hamse sun yaar ab tasalli
jaldi bayaan kar de jo raaz hai nazar mein
आएगा दौर ऐसा बस कुछ ही साल भर में
पत्थर मिलेंगे ज़ालिम शीशा-गरों के घर में
हर जा क़दम को हज़रत रखना सँभल सँभल कर
नश्तर मिलेंगे अब कि घुरसे हुए डगर में
इल्ज़ाम देखो कैसे ग़ैरों पे धर रहा है
ख़ुद मुस्कुरा के छोड़ा जिसने हमें भँवर में
हम रोज़ तुमको इतना बेचैन देखते हैं
जैसे कि बेटा माँ का रहता नहीं ख़बर में
देखेंगे आइना जब तो याद आएँगे हम
रुख़सार इस अदा से चूमे हैं कल डगर में
होती नहीं है हमसे सुन यार अब तसल्ली
जल्दी बयान कर दे जो राज़ है नज़र में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Depression Shayari Shayari