nazm-o-ghazal ye to ghaneemat hai meri | नज़्म-ओ-ग़ज़ल ये तो ग़नीमत है मिरी

  - Prashant Kumar

nazm-o-ghazal ye to ghaneemat hai meri
likkhi hui sab mein haqeeqat hai meri

ye sher misre hain mere haq kii zameen
alfaaz pe inke vasiyat hai meri

meri ghazal aur nazm mere saamne
mujhse hi kehna to fadiyat hai meri

kab se khada hoon kuchh na kuchh to bol de
tujhko pata hai tu mohabbat hai meri

ab to kisi se kuchh nahin kehta hoon main
chupchaap rahna ab to aadat hai meri

नज़्म-ओ-ग़ज़ल ये तो ग़नीमत है मिरी
लिक्खी हुई सब में हक़ीक़त है मिरी

ये शेर मिसरे हैं मिरे हक़ की ज़मीं
अल्फ़ाज़ पे इनके वसीयत है मिरी

मेरी ग़ज़ल और नज़्म मेरे सामने
मुझसे ही कहना तो फ़दीयत है मिरी

कब से खड़ा हूँ कुछ न कुछ तो बोल दे
तुझको पता है तू मोहब्बत है मिरी

अब तो किसी से कुछ नहीं कहता हूँ मैं
चुपचाप रहना अब तो आदत है मिरी

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari