mujhe apna banaane ki qasam to roz khaate hain | मुझे अपना बनाने की क़सम तो रोज़ खाते हैं - Prashant Kumar

mujhe apna banaane ki qasam to roz khaate hain
magar vo saamne mere kahaan kuchh bol paate hain

kabhi bhi ban bigad jaaye kisi se raaste mein to
kharee usko sunaate hain mujhe aankhen dikhaate hain

kabhi hone nahin dete mujhe vo aankh se ojhal
agar chat par bhi jaata hoon to mere saath jaate hain

kabhi mandir kabhi masjid kabhi girja mein jaate hain
vo har dar par mere hi naam ka sadqa chadhate hain

agar mehboob ki galiyon mein jis din main nahin jaaun
to phir khilwat mein jaakar ke bahut aansu behaate hain

मुझे अपना बनाने की क़सम तो रोज़ खाते हैं
मगर वो सामने मेरे कहाँ कुछ बोल पाते हैं

कभी भी बन बिगड़ जाए किसी से रास्ते में तो
खरी उसको सुनाते हैं मुझे आँखें दिखाते हैं

कभी होने नहीं देते मुझे वो आँख से ओझल
अगर छत पर भी जाता हूँ तो मेरे साथ जाते हैं

कभी मंदिर कभी मस्जिद कभी गिरजा में जाते हैं
वो हर दर पर मिरे ही नाम का सदक़ा चढ़ाते हैं

अगर महबूब की गलियों में जिस दिन मैं नहीं जाऊँ
तो फिर ख़ल्वत में जाकर के बहुत आँसू बहाते हैं

- Prashant Kumar
1 Like

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari