ishq mein shakhs koii neelkamal laaya hai | इश्क़ में शख़्स कोई नीलकमल लाया है

  - Prashant Kumar

ishq mein shakhs koii neelkamal laaya hai
koii koii to nishaani hi double laaya hai

rasm-e-ulfat kii use fikr hai kitni dekho
dhoondh kar aisi khizaan mein bhi kanwal laaya hai

kitna aasaan hai ab qatl kisi ka karna
phir bhi ghoonghat mein chhupa kar ke tagal laaya hai

naqs aaya tha nazar koii hunar mein shaayad
so meri jaan khuda se vo badal laaya hai

gher rakkha hai use qarz ke alfaazon ne
ab kii qiston par uthakar ke ghazal laaya hai

maaf karna mera mehboob chaman ke gulchein
bhool mein aaj koii phool masal laaya hai

ishq kitna hai ab andaaz laga lo khud hi
dil pe banwa ke sanam taaj-mahal laaya hai

mujhko saanson kii zaroorat hai so mera mehboob
haath ke haath kitaabon se badal laaya hai

fasl barbaad na ho jaaye isi ke dar se
vo nageene mein chhupa karke nazl laaya hai

इश्क़ में शख़्स कोई नीलकमल लाया है
कोई कोई तो निशानी ही डबल लाया है

रस्म-ए-उल्फ़त की उसे फ़िक्र है कितनी देखो
ढूँढ कर ऐसी ख़िज़ाँ में भी कँवल लाया है

कितना आसान है अब क़त्ल किसी का करना
फिर भी घूँघट में छुपा कर के तगल लाया है

नक़्स आया था नज़र कोई हुनर में शायद
सो मिरी जान ख़ुदा से वो बदल लाया है

घेर रक्खा है उसे क़र्ज़ के अल्फ़ाज़ों ने
अब की क़िस्तों पर उठाकर के ग़ज़ल लाया है

माफ़ करना मिरा महबूब चमन के गुलचीं
भूल में आज कोई फूल मसल लाया है

इश्क़ कितना है अब अंदाज़ लगा लो ख़ुद ही
दिल पे बनवा के सनम ताज-महल लाया है

मुझको साँसों की ज़रूरत है सो मेरा महबूब
हाथ के हाथ किताबों से बदल लाया है

फ़स्ल बर्बाद न हो जाए इसी के डर से
वो नगीने में छुपा करके नज़ल लाया है

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari