rahne laga hoon jab se tumhaari girift mein
aaya nahin hai kuchh bhi nazar tab se dasht mein
khoya nahin hoon phir se zara dekh dhyaan se
rakkha hua miloonga kahin cheez-bast mein
aise uchhal rahe hain mera haal dekhkar
jaise laga diya ho koii band-o-bast mein
itna bhi mat rula use ab rehm kar khuda
tu bhi kisi kii aayega ik din girift mein
itna bhi ab gumaan na kar jeet par tire
bachchon ka tha ilaaj meri hi shikast mein
sab ne mujhe nikaal diya hai dayaar se
taair ke saath rahne laga hoon main dasht mein
itna bhi ab ghamand na kar apni jeet par
roti chhupi thi teri meri hi shikast mein
रहने लगा हूँ जब से तुम्हारी गिरफ़्त में
आया नहीं है कुछ भी नज़र तब से दश्त में
खोया नहीं हूँ फिर से ज़रा देख ध्यान से
रक्खा हुआ मिलूँगा कहीं चीज़-बस्त में
ऐसे उछल रहे हैं मिरा हाल देखकर
जैसे लगा दिया हो कोई बंद-ओ-बस्त में
इतना भी मत रुला उसे अब रहम कर ख़ुदा
तू भी किसी की आएगा इक दिन गिरफ़्त में
इतना भी अब गुमान न कर जीत पर तिरे
बच्चों का था इलाज मिरी ही शिकस्त में
सब ने मुझे निकाल दिया है दयार से
ताइर के साथ रहने लगा हूँ मैं दश्त में
इतना भी अब घमंड न कर अपनी जीत पर
रोटी छुपी थी तेरी मिरी ही शिकस्त में
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari