tumhaari aankh mein moti meri aankhon mein paani hai | तुम्हारी आँख में मोती मिरी आँखों में पानी है

  - Prashant Kumar

tumhaari aankh mein moti meri aankhon mein paani hai
tumhaare haq mein raja tha mere hisse mein raani hai

tumhaara sangmarmar ka mahal tumko mubarak ho
mujhe to jhopdi khud ke paseene se banaani hai

tumhaari aur meri dastaan to ek jaisi hai
tumhaari jo kahaani thi wahi meri kahaani hai

ki vo apna karega kaam main apna karunga kaam
use duniya jalani hai mujhe maachis jalani hai

vo apne kaam se khush hai main apne kaam se khush hoon
use daulat churaani thi mujhe daulat lutaani hai

vo meri aankh se aansu kahi girne nahin dete
ye kahte girne se pehle hato chadar bichaani hai

tire pakwaan shaahi sab taqaza ye khuda ka hai
mere hisse mein rookhi-sookhi qudrat ki nishaani hai

ye saansen kya ye jeevan kya are sab kuchh unhin ka hai
mujhe hisse ki roti bhi ghareebon ko khilaani hai

तुम्हारी आँख में मोती मिरी आँखों में पानी है
तुम्हारे हक़ में राजा था मिरे हिस्से में रानी है

तुम्हारा संगमरमर का महल तुमको मुबारक हो
मुझे तो झोपड़ी खुद के पसीने से बनानी है

तुम्हारी और मेरी दास्ताँ तो एक जैसी है
तुम्हारी जो कहानी थी वही मेरी कहानी है

कि वो अपना करेगा काम मैं अपना करूँगा काम
उसे दुनिया जलानी है मुझे माचिस जलानी है

वो अपने काम से ख़ुश है मैं अपने काम से ख़ुश हूँ
उसे दौलत चुरानी थी मुझे दौलत लुटानी है

वो मेरी आँख से आँसू कहीं गिरने नहीं देते
ये कहते गिरने से पहले हटो चादर बिछानी है

तिरे पकवान शाही सब तक़ाज़ा ये ख़ुदा का है
मिरे हिस्से में रूखी-सूखी क़ुदरत की निशानी है

ये साँसें क्या ये जीवन क्या अरे सब कुछ उन्हीं का है
मुझे हिस्से की रोटी भी ग़रीबों को खिलानी है

  - Prashant Kumar

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari