jo log mere baad mein azaad hue hain
sab phir se mere saath hi barbaad hue hain
hans hans ke kabhi qatl ke ilzaam diye the
jo hont mere ab lab-e-fariyad hue hain
jeete jee hamein tune kahin ka nahin rakkha
aabaad hue hain to tire baad hue hain
tu chahta tha dekh le waisa hi hua hai
marzi ke mutaabiq tiri barbaad hue hain
sab jaan chhidakte the hamesha mere oopar
jo bhai haq-e-maal pe azdaad hue hain
जो लोग मिरे बाद में आज़ाद हुए हैं
सब फिर से मिरे साथ ही बर्बाद हुए हैं
हँस हँस के कभी क़त्ल के इल्ज़ाम दिए थे
जो होंट मिरे अब लब-ए-फ़रियाद हुए हैं
जीते जी हमें तूने कहीं का नहीं रक्खा
आबाद हुए हैं तो तिरे बाद हुए हैं
तू चाहता था देख ले वैसा ही हुआ है
मर्ज़ी के मुताबिक़ तिरी बर्बाद हुए हैं
सब जान छिड़कते थे हमेशा मिरे ऊपर
जो भाई हक़-ए-माल पे अज़्दाद हुए हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari