jurm ke baad nigaahen sabhi churaate hain
jab pakad jaayen to nirdosh hi bataate hain
paise lete hain muqadama ki rok dete hain
jaanch padtaal mein phir jhooth hi dikhaate hain
ab ke qaateel ko are jaante nahin ho tum
saamne khud ko ye maasoom hi bataate hain
log hain kaun ye ghar mein ghusa liye tumne
lootne waale bhi full dress mein hi aate hain
ba-wafa se koii bhi dil nahin lagata hai
bewafaon se sabhi log dil lagaate hain
जुर्म के बाद निगाहें सभी चुराते हैं
जब पकड़ जाएँ तो निर्दोष ही बताते हैं
पैसे लेते हैं मुक़दमा कि रोक देते हैं
जाँच पड़ताल में फिर झूट ही दिखाते हैं
अब के क़ातिल को अरे जानते नहीं हो तुम
सामने ख़ुद को ये मासूम ही बताते हैं
लोग हैं कौन ये घर में घुसा लिए तुमने
लूटने वाले भी फ़ुल ड्रेस में ही आते हैं
बा-वफ़ा से कोई भी दिल नहीं लगाता है
बेवफ़ाओं से सभी लोग दिल लगाते हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari