ki chhed aasmaan mein bana doonga main
zameen kahkashaan sab mita doonga main
haqeeqat bayaan kar rahi jo zabaan
use jaan dekar bacha doonga main
bhikaari nahin hain ye insaan hain
kaleje mein in sabko ja doonga main
agar saans chalti rahi zindagi
tira karz bhi phir chuka doonga main
meri khud-kushi mein jo shaamil raha
use zindagi-bhar dua doonga main
ghareebi mein kya cheez hai bhookh pyaas
wazir-e-ghiza ko bata doonga main
padhaai likhaai mein kuchh bhi nahin
sabhi degreeyan khud jala doonga main
कि छेद आसमाँ में बना दूँगा मैं
ज़मीं कहकशाँ सब मिटा दूँगा मैं
हक़ीक़त बयाँ कर रही जो ज़बाँ
उसे जान देकर बचा दूँगा मैं
भिकारी नहीं हैं ये इंसान हैं
कलेजे में इन सबको जा दूँगा मैं
अगर साँस चलती रही ज़िंदगी
तिरा कर्ज़ भी फिर चुका दूँगा मैं
मिरी ख़ुद-कुशी में जो शामिल रहा
उसे ज़िंदगी-भर दुआ दूँगा मैं
ग़रीबी में क्या चीज़ है भूख प्यास
वज़ीर-ए-ग़िज़ा को बता दूँगा मैं
पढ़ाई लिखाई में कुछ भी नहीं
सभी डिग्रियाँ ख़ुद जला दूँगा मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Dua Shayari Shayari