mohabbat ko mohra banaya gaya hai | मोहब्बत को मोहरा बनाया गया है

  - Prashant Kumar

mohabbat ko mohra banaya gaya hai
koii jaal phir se sajaaya gaya hai

jo toofaan khaali jagah mein utha tha
mere jhopde mein bulaaya gaya hai

mere pyaar ka tha jo dibba puraana
use faad kar phir jalaya gaya hai

hansaaya tha saare zamaane ko hamne
hamaare labon ko rulaaya gaya hai

kai saal mein aaya rone ka mausam
in aankhon ko phir bhi hansaaya gaya hai

utha jab kabhi bolne ke liye sach
to har baar mujhko daraaya gaya hai

mera jism to dushmanon ke liye tha
magar doston par lutaaya gaya hai

pari laayegi khwaab mein ek roti
vo baccha ye kah kar sulaaya gaya hai

vo aise to ghar se na aaya kabhi bhi
ki arzee se sabki bhagaaya gaya hai

मोहब्बत को मोहरा बनाया गया है
कोई जाल फिर से सजाया गया है

जो तूफ़ान ख़ाली जगह में उठा था
मिरे झोपड़े में बुलाया गया है

मिरे प्यार का था जो डिब्बा पुराना
उसे फाड़ कर फिर जलाया गया है

हँसाया था सारे ज़माने को हमने
हमारे लबों को रुलाया गया है

कई साल में आया रोने का मौसम
इन आँखों को फिर भी हँसाया गया है

उठा जब कभी बोलने के लिए सच
तो हर बार मुझको डराया गया है

मिरा जिस्म तो दुश्मनों के लिए था
मगर दोस्तों पर लुटाया गया है

परी लाएगी ख़्वाब में एक रोटी
वो बच्चा ये कह कर सुलाया गया है

वो ऐसे तो घर से न आया कभी भी
कि अर्ज़ी से सबकी भगाया गया है

  - Prashant Kumar

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari