kaash honton kii zara sii bhi hawa mil jaaye
to mujhe mere gunaahon kii saza mil jaaye
haath uthaaun to bas itni sii dua rahti hai
bewafa jo rahe unko bhi wafa mil jaaye
haath agar rakh de badan par tu kahin bhi hans kar
mujhe naasoor se zakhmon kii dava mil jaaye
haath uthaaun to labon par ye dua hoti hai
in faqeeron ko kabhi man kii qaba mil jaaye
bojh dharti ka kiya kam to bura thodi hai
kyun meri jaan ke qaateel ko saza mil jaaye
kya zaroorat hai kisi rab ko manaane kii jab
maa ke charnon mein hi jannat ka pata mil jaaye
aakhiri chaah hai jab tere ghar aaun khaaliq
mujhe har shakhs ke honton pe dua mil jaaye
काश होंटों की ज़रा सी भी हवा मिल जाए
तो मुझे मेरे गुनाहों की सज़ा मिल जाए
हाथ उठाऊँ तो बस इतनी सी दुआ रहती है
बेवफ़ा जो रहे उनको भी वफ़ा मिल जाए
हाथ अगर रख दे बदन पर तू कहीं भी हँस कर
मुझे नासूर से ज़ख्मों की दवा मिल जाए
हाथ उठाऊँ तो लबों पर ये दुआ होती है
इन फ़क़ीरों को कभी मन की क़बा मिल जाए
बोझ धरती का किया कम तो बुरा थोड़ी है
क्यूँ मिरी जान के क़ातिल को सज़ा मिल जाए
क्या ज़रूरत है किसी रब को मनाने की जब
माँ के चरणों में ही जन्नत का पता मिल जाए
आख़िरी चाह है जब तेरे घर आऊँ ख़ालिक़
मुझे हर शख़्स के होंटों पे दुआ मिल जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Chaahat Shayari Shayari