shab-e-gham mein roye tire baal bhi the | शब-ए-ग़म में रोए तिरे बाल भी थे

  - Prashant Kumar

shab-e-gham mein roye tire baal bhi the
ki bheege hue raat roomaal bhi the

main hi kyun pasand aaya mauj-e-fana ko
wahan aur baithe khud-o-khaal bhi the

lute kulliyaat aur deewaan hi kal
mere saath vaise zar-o-maal bhi the

khuda-e-sukhan ka hamein hi mila taaj
wahan hamse behtar ki qawwaal bhi the

tumhin thodi qaabil ho urdu zabaan ke
prashaant ik zamaane mein iqbaal bhi the

शब-ए-ग़म में रोए तिरे बाल भी थे
कि भीगे हुए रात रूमाल भी थे

मैं ही क्यूँ पसंद आया मौज-ए-फ़ना को
वहाँ और बैठे ख़द-ओ-ख़ाल भी थे

लुटे कुल्लियात और दीवान ही कल
मिरे साथ वैसे ज़र-ओ-माल भी थे

ख़ुदा-ए-सुख़न का हमें ही मिला ताज
वहाँ हमसे बेहतर कि क़व्वाल भी थे

तुम्हीं थोड़ी क़ाबिल हो उर्दू ज़बाँ के
"प्रशांत" इक ज़माने में "इक़बाल" भी थे

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari