ja rahe hain log phir bhi aazma kar | जा रहे हैं लोग फिर भी आज़मा कर - Prashant Kumar

ja rahe hain log phir bhi aazma kar
rakh diya hai aasmaan hamne hila kar

ja rahe sab aag duniya mein lagaakar
aa rahe ham aag duniya kii bujha kar

maut ko tak hai ghuroor apni ada par
jaan rakhte hain hatheli par sajaakar

log laate kashtiyaan toofaan mein ham
laaye hain toofaan kashti mein utha kar

hans rahe ho yaar tum ye to batao
kya milega jhopda mera jalaakar

tishnagi par ungaliyaan uthne lagi theen
rakh diya phir to samundar hi sukha kar

jis hawa se bujh gaye sabke charaagaan
us hawa se laaye hain deepak jalaakar

jab kabhi bhi ham nikalte hain safar par
gardishein rakhte hain mutthi mein dabaakar

जा रहे हैं लोग फिर भी आज़मा कर
रख दिया है आसमाँ हमने हिला कर

जा रहे सब आग दुनिया में लगाकर
आ रहे हम आग दुनिया की बुझा कर

मौत को तक है ग़ुरूर अपनी अदा पर
जान रखते हैं हथेली पर सजाकर

लोग लाते कश्तियाँ तूफ़ान में हम
लाए हैं तूफ़ान कश्ती में उठा कर

हँस रहे हो यार तुम ये तो बताओ
क्या मिलेगा झोपड़ा मेरा जलाकर

तिश्नगी पर उँगलियाँ उठने लगी थीं
रख दिया फिर तो समुंदर ही सुखा कर

जिस हवा से बुझ गए सबके चराग़ाँ
उस हवा से लाए हैं दीपक जलाकर

जब कभी भी हम निकलते हैं सफ़र पर
गर्दिशें रखते हैं मुट्ठी में दबाकर

- Prashant Kumar
0 Likes

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari