door se cheez chamakdaar nazar aati hai | दूर से चीज़ चमकदार नज़र आती है

  - Prashant Kumar

door se cheez chamakdaar nazar aati hai
paas jaaoge to bekar nazar aati hai

ab to din raat mohabbat kii hi baatein hoti
mujhe vo ladki samajhdaar nazar aati hai

kaun kya hai ye to baaton se pata chalta hai
aise duniya hi samajhdaar nazar aati hai

aalima hai koii halke mein na lena usko
vo to pandit se bhi damdaar nazar aati hai

badi seedhi badi maasoom badi bholi hai
vo to mere liye makkaar nazar aati hai

log kahte hain abhi to vo yahin par hogi
vo samundar ke mujhe paar nazar aati hai

दूर से चीज़ चमकदार नज़र आती है
पास जाओगे तो बेकार नज़र आती है

अब तो दिन रात मोहब्बत की ही बातें होती
मुझे वो लड़की समझदार नज़र आती है

कौन क्या है ये तो बातों से पता चलता है
ऐसे दुनिया ही समझदार नज़र आती है

'आलिमा है कोई हल्के में न लेना उसको
वो तो पंडित से भी दमदार नज़र आती है

बड़ी सीधी बड़ी मासूम बड़ी भोली है
वो तो मेरे लिए मक्कार नज़र आती है

लोग कहते हैं अभी तो वो यहीं पर होगी
वो समुंदर के मुझे पार नज़र आती है

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari